ad 1

Tuesday, August 30, 2011

Sooraj se kaho chamakna chod do,
Sitaaron se kaho timtimana chod do,
Tum milane nahi aa sakte ho to,
Apni yaadon se kaho ki yun satana chod de.
~
Ijaajat aap de, to taarif me aapki kuch ham farmaaye,
Mohabbat aap de, to us dil ke thoda kareeb ham aaye,
Shikaayat agar aap kare,
To dil ki dhadkan kahi tham na jaaye.
~
Jab aasmaan ke sitaare hamko dekhte hai,
Ham kuch anjaani soch me pad jaate hai,
Har lamha ham aisa mahsoos karte hai,
Ki wo kuch kahte hi, chup ho jaate hai,
~
Chand se pyaari chandni,
Chandni se pyari raat,
Raat se pyari jindagi,
Jindagi se pyaare aap…
~
Aapko lagta hai ki hamne aapko bhoola rakha hai,
Aap nahi jaante dil me kahi chupa rakha hai,
Dekh na le in aakhon me aapko koi,
Isaliye palkon ko bhi chupa rakha hai.
~
Dil ki naajuk dhadkano ko,
Mere sanam tumne dhadakna sikha diya,
Jab se mila hai tera pyaar dil ko,
Gam me bhi muskurana sikha diya.
~
Khyalon ko kisi aahat ki aas rahti hai,
Nigaah to kisi soorat ki pyaas rahti hai,
Tere bin kisi cheej ki kami to nahi,
Magar tere bin tabeeyat udaas rahti hai.
~
Aakhon me aansu hai,
Phir bhi labon pe muskaan hai…
Kyonki jeena to har haal mein hai,
To hasne me kya nuksaan hai, sada muskurate raho.
~
Chaho to dil se mujhko mita dena,
Chaho to mujhko bhoola dena, par ye wada karo ki,
Kabhi meri yaad aai to,
Rona mat sirf muskura dena…
~
har baat jubaan kah paati jo agar,
Aankhon ke ishaare kyon hote???
Agar samajhate hamaare ishaare tum,
Palkon pe ye aansu kyon hote???
~
Raat ki tanhaai me unko aawaaj diya karte hai,
Raat me sitaaron se unka jikra kiya karte hai,
Wo aaye ya na aaye hamaare khwaabon me,
Ham to bas unhi ka intajaar kiya karte hai.
~
Palkon ke kinaare jo hamne bhigoye nahi,
Sab sochte hai ham roye nahi,
Sab poochte hai ki khwaabon me kise dekhate ho,
Ham hai ki ek umra se soye hi nahi.
~
Bina dard ke aansu bahaaye nahi jaate,
Bina pyaar ke rishte nibhaaye nahi jaate,
Ae dost ek baat yaad rakhna bina dil diye,
Dil paaye nahi jaate.
~
Subaah ko yaad aayi to miss kiya,
Dophar ko yaad aayi to bahut miss kiya,
Shaam ko yaad aayi to dil uchal gaya aur
Jab jaan par ban aayi to SMS kiya.
~
Missed call to ek bahana hai,
Irada to aapka ek lamha churana hai,
Aap chaahe hamse baat karo ya na karo,
Aapki yaadon me hamaara aana jaana hai…
~
Jara palat kar to dekh lete,
Ham wahi khade the,
Pal do pal to aap muskura lete,
To un palon me ham apni saari jindagi jee lete.
~
Aaj arse baad jab suni uski aawaaj,
To laga ki mere bahut paas hai wo,
Ho gayi nam ye aakhen jab hosh aaya aur paaya ki
Kabhi na poori hone waali aas hai wo.
~
Mere chehre ki hasi ho tum,
Mere dil ki har khushi ho tum,
Mere hothon ki muskaan tum hi to ho,
Dhadakta hai mera ye dil jiske liye wo meri jaan tum hi to ho.
~
Koshish karta jab sher banane ki kabhi,
To kambakht pyaar yaad aa jata hai
Aur jab koshish karta hu pyaar yaad karne ki
kabhi to na jaane kaise sher ban jata hai…
~
Usko chaha bhi to ikraar karna na aaya,
Kat gayi umra, hame pyaar karna na aaya,
Usne maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek ham the ki inkaar karna na aaya.
~
Wo mausam wo bahaar bhi usake saamne kam thi,
Uske saath wo waqt wo fiza bhi kam thi,
Par kya kare ai jaalim apne haathon me
Mohabbat ki lakeer hi kam thi.
~
Aankhon ki saja tab tak hai, jab tak deedaar na ho,
Dil ki saja tab tak hai, jab tak yaar na ho,
Yeh jindagi bhi ek saja hai, jab tak kisi se pyaar na ho.
~
Dost dost nahi khuda hota hai,
Mahsoos tab hota hai jab wo juda hota hai,
Bina dost ke jeena saja hota hai,
Aur dost aap jaisa ho to jeewan ek tohfa hota hai.
~
Jab hamne unse poocha,
Sapna kya hota hai,
to unhone kaha, band aakhon me jo apna hota hai,
Khuli aakhon me wo hi sapna hota hai.
~
Jindagi agar phool, to tum khushboo ho…
Jindagi agar khwaab,to tum aarjoo ho….
Jindagi agar jeena, to tum meri jaroorat ho.

No comments:

About mumbai film city

Film City, Mumbai  Located in a secluded area in the vicinity of Aarey Colony,  Mumbai , Film City is often regarded as a home ...