ad 1

Friday, February 3, 2012

Hindi SMS

3 Cheezain zindgi mein 1 bar milti hai,WAALDEN,HUSN or JAWANI
3 Cheezain soch samajh kar uthao,QADAM,
QASAM or QALAM
3 Cheezain soch kar karo,
MOHABBAT, BATEIN or FAISLA


Nazar nawaz najaro me ji nahi lagta,
fiza gai to baharo me ji nahi lagta,
na puchh mujse tere gum me kya gujarti hai,
yahi kahunga hazaron me ji nahi lagta

Kafi hai husn ko behlane ke liye,
mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
chahe bhale pade gam se vasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab gamo ko bhulane ke liye

Fiza par asar hawaon ka hota hai,
mohabbat par asar adaon ka hota hai,
koi aisa hi kisi ka diwana nahi hota,
kuch kasoor to nigahon ka hota hai

Pyar ke ujalo me gum ka andhera kyu aata hai,
jisko hum chahte hai wohi kyu rulata hai,
mere khuda agar wo mera naseeb nahi to aise logon se
kyu milata hai

Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jane ke hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge

Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata

Movie titles related to engg students:
exams – socha na tha,
classes – kabhi kabhi,
question papers – na tum jano na hum,
copying – yaarana,
maths2 – asambhav,
maths1 – mission impossible,
environmental sciences – pyar mein kabhi kabhi,
1st semester – kuch to hai,
2nd semester – yeh kya ho raha hai,
distinction – kal ho na ho,
1st class – raju bangaya gentleman,
2nd class – dil mange more
fail – phir milenge

Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankho
se chalakte hain

Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake

Ikrar may shabdo ki ahmiyat nai hoti,
dil ke jazbat ki awaz nai hoti,
ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzo ki mohtaz nai hoti

Gam ki aahat na aaye tere dar par,
pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho,
bhool se jo tapke teri aankhon say moti,
thame wohi jo tumhe sabse pyara ho

Mohabbat me sath to harpal hota he,
koi dikhne se hota he to koi dilse hota hai,
maza to sath tab aye yaro,
jab judai ka lamha mahsus hota hai

Socha tha na karenge kisi se dosti,
na karenge kisi se vaada,
par kya kare dost mila itna pyara ki karna pada dosti
ka vaada

Kab unki palkon se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein hamare liye pyar hoga,
guzar rahi hai raat unki yaad mein,
kabhi to unko bhi hamara intezar hoga

Nazroo se jab nazar ka takrar hota hai,
har mod par kissi ka intezaar hota hai,
dil rota hai zakham haste hai,
isi ka naam to pyaar hota hai

Unhone dekha aur aansu gir pade,
bhari basant mein jaise phool bikhar pade,
dukh woh nahin ki unhone hume alvida kaha,
dukh to ye he ki uske bad wo khud ro pade

Mana ye waqt hame yaad karne wala nahi,
par bewaqt he yaad karliya karo,
mana aapke aspas sari duniya hai,
kabhi hamari kamika bhi ehsas karliya karo

Nashili aankho se wo jab hamein dekhte hain,
hum ghabraakar ankhen jhuka leite hain,
kaun milaye unn ankhon se ankhen,
suna hai wo ankho se apna bana leite hai

Chandni raat main jab sara jahan sota hai kisi ki
yaad main koi badnaseeb rota hai,
khuda kisi ko pyar pe fida na kare aur kare to juda
nakare

Har pal muskurana zindagi hai,
muskurakar gam bhulana zindagi hai,
jeet kar muskurana bhi kya muskurana hai,
haar kar muskurana zindagi hai

Samja do apni yado ko,
wo bin bulaye pas aaya karti hai,
aap to dur rehkar satate ho magar,
wo pas aakar rulaya karti hai

Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
muskura rahe the hum,
par ankho me nami si thi,
saath hamare ye jahan tha sara,
par na jaane kyu tumhari kami si thi

Kyu dil ke mere tukde kar diye,
kyu mere aansu ko apni muskan se baha diye,
gunah kya tha mera bus chahna tumhe,
kyu meri zindagi me tune dard bhardiye

Phool se pehle khusboo ko to dekho,
karne se pehle kaam ko to dekho,
kisike roop mein diwana naa bano,
surat se pehle uske dil ko to dekho

Sms karenge hum ek duje ko bari bari,
hame lagti hai ye rasam badi pyari,
ye sms milte hi ek sms bhej dena,
kyunki hame bilkul pasand nahi udhari

Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
khubiyo se nahi hoti mohabbat bhi sadaa,
khamiyo se bhi aksar pyaar ho jata hai

Dosti gazal hai gane ke liye,
dosti nagma hai sunane ke liye,
ye wo jazba hai jo sabko nahi milta,
kyonki aap jaisa chahiye nibhane ke liye

Zindagi hai nadan isiliye chup hoon,
dard hi dard subah shaam isiliye chup hoon,
keh du zamane se dastan apni,
usme aayega tera naam isiliye chup hoon

Hoth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
shayad nazron se vo baat ho jaye,
is ummid se karte hain intezar raat ka,
ke shayad sapne me mulakat ho jaye

Sehmi si nigaho mein khwab hum jaga denge,
sooni in raho pe phool hum khila denge,
humare sang muskura ke to dekhiye,
hum aapke har gum bhula denge

Kaise kehde ki unse milne ki chahat nahi,
bekarar dil ko ab bhi rahat nahi,
bhula dete unhe bhi magar kya kare dost,
kisi ko bhulane ki is dil ko aadat nahi

Mana aaj unhe hamara koi khayal nahi,
jawab dene ko hum razi he par koi sawal nahi,
pucho unke dil se kya hum unke yaar nahi,
kya hamse milne ko wo bekarar nahi

Bolti hai dosti chup rehta hai pyar,
hasati hai dosti rulaata hai pyar,
milati hai dosti judaa karta hai pyar,
phir bhi kyun dosti chodkar log karte hai pyar

Aap to manzil ko mushkil samajte he hum aap ko
manzil samajte he,
bada fark he apke or hamare nazariye me
aap hume sapna or hum aap ko apna samajte hai

Wife: kaash main newspaper hoti dinbhar tumhare
hathon me rehti
Hus: meri bhi yahi dua hai rab se issi bahane her din
nayi nayi to milti

Leke hum dusro ki hasi kya kare,
jo apni nahi wo khushi kya kare,
tanha jine se behatar hai mar jaye hum,
jab saath tum nahi to zindagi jikar kya kare

Phool bankar muskurana zindagi hai,
muskurake gum bhulana zindagi hai,
milkar log khush hote hai to kya hua,
bina mile dosti nibhana bhi zindagi hai

Happy moments praise allah,
difficult moments seek allah,
quiet moments worship allah,
painful moments trust allah,
every moments thank allah

Ae khuda dua ye meri khali na jaye ke mere dost ki
palkon main kabhi aansu na aaye,
aansu nikle to khushi ke nikle gum ke aansu mere hisse
me aa jaye

Tumhari yaadon ki mehek in hawaon mein hai,
pyar hi pyar hi bikhra in fizao mein hai,
aisa na ho ki duriya dard ban jaye,
ab to aapke msg ka intezaar niaghon mein hai

Mohabbat ko mohabbat ka ishara yaad rehata hai,
har pyar ko apna pyar yaad rehta hai,
wo pal jo yaar ki baho me guzarta hai,
maut tak vo nazara yaad rehta hai

Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge,
aur sitare keh rahe hai ki hum gagan chod denge,
agar tere ishq mein mai mar bhi jau ae sanam,
tum dilse pukar lena hum kafan chod denge

Aansu aa jate hain aankhon mein,
par labon pe hasi lani padti hai,
yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaro,
jisse karte ho usi se chupani padti hai

Kyun kisi ki khamoshi mujhe khamosh kar jaati hai,
kyun uski udaasi muje udaas kar jaati hai,
kya rishta hai uska mera jo mujhe uski yaad har pal aa
jaati hai

Jab koi khayal dilse takarata hai dil na chahkar
bhi khamosh reh jata hai,
koi sab kuch kehkar pyar jatata hai toh koi kuch na
kehkar bhi pyar nibhata hai

Reth pe likhna to adat hai hamari isiliye toh sagar
se dushmani hai hamari,
chahe wo lakh bar apka nam mitaye, apko bhulana taqdir
nahi hamari

Lamhe ye sunhere kal sath ho na ho,
kal me aaj jaisi baat ho na ho,
yaadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
tamaam umar chahe mulaqat ho na ho

Mere alfazon ko juth mat samajna,
yaad aati hai bahut jaldi milne ki dua karna,
ji raha tha tumhare naam par mar jau toh bewafa mat
samajna

Lehar ati hai kinare se palat jati hai,
yad ati hai dil me simat jati hai,
faraq itna hai ki lehar bewaqt ati hai,
aur aap ki yaad har waqt ati hai

Rab se aapki khushi mangte hain,
duaon me aapki hansi mangte hain,
sochte hain kya mangen aapse chalo aapki umar bhar ki
dosti mangte hain

Nazre na hoti to nazara na hota,
duniya main hasino ka guzara na hota,
hamse yeh mat kaho ke dil lagana chhod de,
jaake khuda se kaho hasino ko banana chhod de

Best day aaj, best gift zindagi,
best eahsaas khushi,
best feeling pyar,
best relationship dosti,
best person hum,
best friend tum hum tum

Khuda se thoda rahem kharid lete,
aap ke zakhmo ka marhar kharid lete,
agar kahin kabhi bikti khushiyan meri,
to saari bechkar aapka har gam kharid lete

Na chaho kisi ko itna ki chahat aapki majburi ban
jaye,
chaho kisi ko itna aapka pyaar uske liye jaruri ban
jaye

Gham ne hasne na diya,
zamane ne rone na diya,
is uljhano ne jine na diya,
thak ke jab sitaron se panah li,
neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya

Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,
har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,
koi hum ko yaad kare ya na kare,
har ek ko yaad karna aadat hai hamari

Yaadon mein hum rahein ye ehsaas rakhna,
nazron se door sahi dil ke paas rakhna,
ye nahi kehte ke sath raho dur sahi par yaad rakhna

Fasle mita kar aapas me pyar rakhna,
dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna,
bichad jaye kabhi aap se hum,
aankhon me hamesha hamara intejar rakhna

Hamne zindagi ki shurarat S se ki,
s se suraj, s se subah, s se swagat, s se saaz, s se
sangeet par phir s se samay ne aisi karwat badli ke
s se hamari shaadi ho gai, aur fir jeewan ka arth
saas, sasur, saala, saali, sasural or sankat ho gaya
to hamne s se sharab pi ne lage, so beaware of s

Zindagi mein hamesha SMART log milenge,
kahi zyada to kahi kum milenge,
choice zara sochke karna,
zaroori nahi har jagah tumhe hum jaise milenge

Sabse loving kaun: TUM,
sabse sweet kaun: TUM,
sabse cute kaun: TUM,
in sab me TUM se zyada kaun: HUM
lekin duniya me sabse acche dost kaun: HUM TUM

Nighahe nighago se milakar to dekho,
naye logo se rishta banakar to dekho,
hasrate dil me dabane se kya faida,
apne hoton ko hilakar to dekho,
asmaan simat jayega tumhare agosh me,
chahat ki bahen failakar to dekho

Tum kya jano kya hai tanhai is tute hue patte se
pucho kya hai judai,
yu bewafa ka ilzam na de zalim,
is waqt se puch kis waqt teri yaad na aayi

Bathmeez
Chaddar ki KAMEEZ,
Lohe ka PAIJAMA,
Bandar tera MAMA,
Billi teri MAUSI,
Kutte mera YAAR,
Aam ka AACHAR
Miss u mere YAAR

Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
apki yado ko sine se lagaya hai,
pata nahi yaad apki hi kyo aati hai,
dost to hamne auro ko bhi banaya hai

Wo laut aayega teri zindagi mein,
jiska intzaar tujhe aaj bhi hai,
maana waqt ne ki hai bewafai tujhse lekin meri duaon
me asar aaj bhi hai

Ruthne ka haq aap rakhte hai manane ki chahat hum
rakhte hai,
aapke hoton pe muskurahat yu hi bani rahe yehi dua rab
se hum roz karte hai

Kiss is not like nokia just connecting people,
not like nike just do it,
not like pepsi yeh dil mange more,
but kiss is like lays no one can eat just one

Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye ki hum jise
yaad kare use khabar ho jaye
rab se yahi dua hai meri ki aap jise chahe woh aap ka
humsafar ho jaye

Kafi hai husn dil ko behlane ke liye,
mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
chahe bhale pade gam se vasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab gamo ko bhulane ke liye

Anjane me hum apna dil gawa baithe is pyar me kaisa
dhoka kar baithe
unse kya gila kare bhool hamari hi hai jo bina dil
walon se dil laga baithe

Har khushi dil ke karib nahi hoti,
zindagi gamo se dur nahi hoti,
ae dost is dosti ko sanjokar rakhna,
aisi dosti har kisi ko nasib nahi hoti

Hum mitti ka aashiyana banate gaye,
bana bana kar unhe mitate gaye,
hume koi na apna bana saka,
hum har kisi ko apna banate gaye

Kaun hai jo manzil se door nahin,
kaun hai jo zindagi se majboor nahin,
gunaah to sabhi karte hain,
humari nazar mein to khuda bhi bekasoor nahin


Hum nibhayenge dosti marte dum tak,
hum hasayenge tumko gham se khushi tak,
aye dost kabhi humse naraz na hona,
saath rehna hamare akhiri dum tak

Jab se tumhe jana hai,
jab se tumhe paaya hai,
har dua mein tera naam aaya hai,
taaki poochhu rab se ki yeh kaisa namoona banaya hai

Ret pe naam kabhi likhte nahi,
ret pe naam kabhi tikte nahi,
log kehte hai ki hum patthar dil hain,
lekin pattharo pe likhe naam kabhi mit te nahin

Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte,
dil me rehne walo ki baat nahi karte,
hamari to ruh me bus gaye hain aap,
tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte

Phool bankar muskurana zindagi hai,
muskurake gum bhulana zindagi hai,
milkar log khush hote hai to kya hua,
bina mile dosti nibhana bhi zindagi hai

Tujse dosti karne ka hisab na aya,
mere kisi bhi sawal ka jawab na aya,
hum to jagte rahe tere hi khayalo me,
aur tujhe so kar bhi hamara khawab na aya

Jakham aisa diya ki koi dawa kaam na aayi,
aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi,
aaj bhi rote hai unki yaad main,
jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi

Bhool jane ka hounsla na hua,
door rah kar bhi wo juda na hua,
unse mil kar kisi aur se kya milte,
koi dusra unke jaisa na hua

Kaanch chube to nishan reh jaata hai,
dil tute to armaan reh jaata hai,
laga to deta hai waqt marham is dil par,
phir bhi umra bhar ek zakhm reh jata hai

Log phoolon se mohabbat karte hai,
kaaton ko kisne yaad kiya,
hum kaaton se mohabbat karte hai,
kyunki phool ne hume barbaad kiya

No comments:

About mumbai film city

Film City, Mumbai  Located in a secluded area in the vicinity of Aarey Colony,  Mumbai , Film City is often regarded as a home ...